bechain baharon mein

bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai jo phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai kal rat dikha k khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne mandir k darichon se jaise loban ki khushbu ati hai kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai kuch tu hi mujhe ab samjha de ai kufr duhai hai teri kyun shekh ke daman se mujhko iman ki khushbu ati hai darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai

0 comments:

Post a Comment