ab kadmon ki ahat sunai nahi deti


ab kadmon ki ahat sunai nahi deti
tujhse milne ki umeed dikhai nahi deti

kaise behlaon ab is dil ko main
teri sada mujhe kahin sunai nahi deti

khabar hui ki tu roya bahut aise
rawayat e firak kahin dikhai nahi deti

tu gaya to raunaken hi rooth gayee
chirag hai magar roshini dikhai nahi deti

wahi manjar ab bhi bulata hai humen magar
masti mein doobi wo gali dikhai nahi deti

wo bhatakna dopehar mein tera mera
chup kar pukarne ki sada ab sunai nahi deti

khatayen sabhi batakar nadaniyan bhola dena sabka
bachpan ki wo beparwah ghadi dikhai nahi deti

tumhare saath gujre lamhon ki kitaab hai khushboo
rudad e mahobbat gum e jindagi ki safai  nahi deti

0 comments:

Post a Comment