jo chale gaye in makano galiyon virano se
aayenge nahi wo kabhi laut ke ab tumhari ajano se
nikalen hain wo dhondhne ek basti nayee
phir asman hoga naya ej zameen nayee
ek ek karke sabko hai jana
tum bhi samaan bandhke tayyar ho jana
nayee basti mein hogi roshni beshumaar
koi hoga na dukhi na phir koi bimaar
kar lo tassali mar mar ke jeene ki
phir aaye na aaye ritu chak jigar seene ki
wahan tumhen milegi dua bhi dawa bhi
bhool na jana katra o gum jara bhi
chod do banane rishte do ghadi ke liye
bacha lo ehsaas kuch wahan sajane ke liye
is fareb aur tanhai se milegi wahin nijaat
wahan admi hoga admi,koi poochega nahi jaat
yahan kiski khatir ab tum bekaar
khushboo dekho kar rahe hain wo humara intejaar
ALWIDA DOSTON
0 comments:
Post a Comment